اردو हिंदी
Ek daman-e-rangin lahraya masti si faza mein chha hi gai | Shaahi Shayari
ek daman-e-rangin lahraya masti si faza mein chha hi gai

Ghazal

Ek daman-e-rangin lahraya masti si faza mein chha hi gai

Nushur Wahidi

;

ek daman-e-rangin lahraya masti si faza mein chha hi gai
jab sair-e-chaman ko wo nikle phulon ki jabin sharma hi gai

ye sehn-e-chaman ye bagh-e-jahan KHali to na tha nikhat se magar
kuchh daman-e-gul se dur tha main kuchh baad-e-saba katra hi gai

ehsas-e-alam aur pas-e-haya us waqt ka aansu sahba hai
us chashm-e-hasin ko kya kahiye jab pi na saki chhalka hi gai

KHud-bin tha mizaj-e-husn magar daman-e-mohabbat chhu hi gaya
andaz-e-taghaful kuchh bhi sahi kuchh un ki nazar farma hi gai

har shoala-gar-e-ahd-e-zulmat anjam se apne Darta hai
jab zikr-e-sahar mahfil mein chhiDa kuchh shama ki lau tharra hi gai

is daur mein kitne shaiKH-e-haram mai-KHane ka rasta puchh gae
saqi ki nazar begana sahi kuchh kar-e-jahan samjha hi gai

ek aah jo shoala-bar hui aalam mein sharare phail gae
ek mauj jo muztar ho ke uThi dariya ka lahu garma hi gai

tahzib ke raana paikar se ye bar-e-amanat uTh na saka
nazura-e-ahd-e-hazir ki nazuk thi kamar bal kha hi gai

zahrab-e-zamana pi pi kar jo ahl-e-junun the rah lage
shaer ko 'nushur' ek zulf-e-dota gham de na saki uljha hi gai