اردو हिंदी
Ek daere ki shakl mein khincha hua hisar | Shaahi Shayari
ek daere ki shakl mein khincha hua hisar

Ghazal

Ek daere ki shakl mein khincha hua hisar

Khalid Iqbal Yasir

;

ek daere ki shakl mein khincha hua hisar
yalghaar se kuchh aur bhi badla hua hisar

ek shahr-e-KHwab tha ki jahan qila-band the
aada ki yurishon se tawana hua hisar

chahe rasad ke raste masdud the bahut
jitna baDha muhasara puKHta hua hisar

aabaad bastiyan thin fasilon ke sae mein
aapas mein bastiyon ko milata hua hisar

indar se rah kisi ne dikhai ghanim ko
phir main tha aur samne girta hua hisar