ek chheD thi jafaon ka teri gila na tha 
tark-e-talluqat mera muddaa na tha 
naseh wo shoKH dushman-e-iman tha waqai 
aur phir mera mizaj bhi kuchh aashiqana tha 
TuTa hai apne zom-e-wafa ka tilism aaj 
mahsus ho raha hai ki tu bewafa na tha 
hum KHud bhi tark-e-rah-e-wafa par hain munfail 
par kya karen ki aur koi rasta na tha 
jab se juda hue hain tabiat udas hai 
aur lutf ye ki tujh se koi muddaa na tha
        Ghazal
Ek chheD thi jafaon ka teri gila na tha
Gopal Mittal

