ek charagh-e-dil faqat raushan agar mera bhi hai
rahnuma mera bhi hai phir rahbar mera bhi hai
ab talak hairan hun main raat ke us KHwab se
KHun ki barsat hai ghar tar-ba-tar mera bhi hai
shart har manzur kar li zindagi ki main ne bhi
dastaKHat ab is qarar-e-zist par mera bhi hai
yun bahaaron ke liye mahw-e-dua rahta hun main
phul ki manind ek laKHt-e-jigar mera bhi hai
husn hai tu tera bhi charcha rahega daimi
ishq hun main aur afsana amar mera bhi hai
peD miTTi dhup pani mein adawat ho gai
phul lagte hi sabhi bole samar mera bhi hai
mah-o-anjum rakh na rakh us mein mere malik magar
aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai
aalamon ki baat ka 'saurabh' bharosa hai mujhe
tajraba kuchh zindagi ka han magar mera bhi hai
Ghazal
Ek charagh-e-dil faqat raushan agar mera bhi hai
Saurabh Shekhar