اردو हिंदी
Ek chadar-e-bosida main dosh pe rakhta hun | Shaahi Shayari
ek chadar-e-bosida main dosh pe rakhta hun

Ghazal

Ek chadar-e-bosida main dosh pe rakhta hun

Aftab Iqbal Shamim

;

ek chadar-e-bosida main dosh pe rakhta hun
aur daulat-e-duniya ko pa-posh pe rakhta hun

aankhon ko Tikata hun hangama-e-duniya par
aur kan suKHan-ha-e-KHamosh pe rakhta hun

kaifiyyat-e-be-KHabri kya chiz hai kya jaanun
buniyaad hi hone ki jab hosh pe rakhta hun

mein kaun hun azalon ki hairaniyan kya bolen
ek qarz hamesha ka main gosh pe rakhta hun

jo qarz ki mai pi kar tasKHir-e-suKHan kar le
iman usi dilli ke mai-e-nosh pe rakhta hun