ek bhul si zarur kahin kar rahe hain hum
koi zaruri kaam nahin kar rahe hain hum
chuma hai jin labon hazar un ke KHun muaf
to jhuT KHub bol yaqin kar rahe hain hum
bahar se mar gae hain ki mare na ja saken
jine ka kaam zer-e-zamin kar rahe hain hum
Ghazal
Ek bhul si zarur kahin kar rahe hain hum
Farhat Ehsas

