ek be-wafa ko pyar kiya hae kya kiya
KHud dil ko be-qarar kiya hae kya kiya
malum tha ki ahd-e-wafa un ka jhuT hai
is par bhi e'tibar kiya hae kya kiya
wo dil ki jis pe qimat-e-kaunain thi nisar
nazr-e-nigah-e-yar kiya hae kya kiya
KHud hum ne fash fash kiya raaz-e-ashiqi
daman ko tar tar kiya hae kya kiya
aahen bhi bar bar bharin un ke hijr mein
nala bhi bar bar kiya hae kya kiya
miTne ka gham nahin hai bas itna malal hi
kyun tera intizar kiya hae kya kiya
hum ne to gham ko sine se apne laga liya
gham ne hamein shikar kiya hae kya kiya
sayyaad ki raza ye hum aansu na pi sake
uzr-e-gham-bahaar kiya hae kya kiya
qismat ne aah hum ko ye din bhi dikha diye
qismat pe e'tibar kiya hae kya kiya
rangini-e-KHayal se kuchh bhi na bach saka
har shai ko pur-bahaar kiya hae kya kiya
dil ne bhula bhula ke teri bewafaiyan
phir ahd ustuwar kiya hae kya kiya
un ke sitam bhi sah ke na un se kiya gila
kyun jabr iKHtiyar kiya hae kya kiya
kafir ki chashm-e-naz pe kya dil-jigar ka zikr
iman tak nisar kiya hae kya kiya
kali ghaTa ke uThte hi tauba na rah saki
tauba pe e'tibar kiya hae kya kiya
sham-e-firaq qalb ke daghon ko gin liya
taron ko bhi shumar kiya hae kya kiya
'bahzad' ki na qadar koi tum ko ho saki
tum ne zalil-o-KHwar kya hae kya kiya
Ghazal
Ek be-wafa ko pyar kiya hae kya kiya
Behzad Lakhnavi