اردو हिंदी
Ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh | Shaahi Shayari
ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh

Ghazal

Ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh

Arman Najmi

;

ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh
wo dur ja chuka hai hawa ki taraf na dekh

aabaad kar le dida-o-dil mein sanam-kade
kahta hai wo ki ek KHuda ki taraf na dekh

apni hi aafiyat ki tag-o-dau mein mahw rah
is sar-zamin-e-ah-o-buka ki taraf na dekh

apne ufuq ki tang faza se hi kaam rakh
maidan-e-hashr dasht-e-bala ki taraf na dekh

kar le na apne shahr-e-tilismat ka asir
us ki nigah-e-hosh-ruba ki taraf na dekh

rakh KHak-e-dil pe apne qadam ehtiyat se
mauj-e-hawa-e-samt-numa ki taraf na dekh