ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain
hum kaghaz ki naw bana kar roz safar mein rahte hain
hone aur na hone ka ek barzaKH hai hum jis mein hain
jis mein sham ghuli rahti hai aisi sahar mein rahte hain
apna to ab is duniya se kuchh aisa hi nata hai
jaise nind mein chalne wale KHwab-nagar mein rahte hain
pasti aur bulandi kya ab apne KHwab hayule bhi
gard ki surat uDte hain aur rahguzar mein rahte hain
nind-nagar mein ja kar hur se pahron baaten hoti hain
kaise kaise KHwab mere diwar-o-dar mein rahte hain
ek hawa ke jhonke hi se laraz gae hain baam-o-dar
'shabnam' aaise lagta hai hum ret ke ghar mein rahte hain
Ghazal
Ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain
Shabnam Shakeel