ik-baTa-do ko karun kyun na raqam do-baTa-chaar
is ghazal par hai qawafi ka karam do-baTa-chaar
shoala-e-gul se chaman mein kahin lag jae na aag
ab to shabnam bhi nazar aati hai nam do-baTa-chaar
kaun kahta hai ki jangal mein nahin sher ko gham
main ne zaigham mein mila dekha hai gham do-baTa-chaar
us ke sine se lage baiThe hain zaKHmon ke sabab
dekho marham mein nazar aate hain hum do-baTa-chaar
qasim-e-nar-o-jinan ki hai mohabbat dil mein
ho gaya hissa jahannum ka to nam do-baTa-chaar
mausam-e-gul ki qasam kha na KHudara bulbul
dekh mausam mein mila rahta hai sam do-baTa-chaar
dil liye phirta hai taswir-e-butan ka album
phaT na jae ye kahin is mein hai bam do-baTa-chaar
surat-e-badr hilal aai nazar un ki jabin
zulfen lahrain hain kha kha ke jo KHam do-baTa-chaar
wade hamdam ke rahen kyun na adhure ai 'waqar'
is mein lo KHud hi nazar aata hai dam do-baTa-chaar
Ghazal
Ik-baTa-do ko karun kyun na raqam do-baTa-chaar
Waqar Hilm Syed Naglavi