ek barq-e-tapan kude bijli si chamke jae
is aariz-o-rangin se parda jo sarak jae
zahid ho to chhak jae naseh ho to thak jae
kam-zarf hai wo mai-kash jo pi ke bahak jae
sawan ki ghaTa uTThe bhadon ka saman bandhe
wo zulf jo bikhra de mahaul mahak jae
kaliyon ke tabassum par tum bhi na kahin hans do
Dar hai ki rag-e-gul mein kanTe na khaTak jae
ai jurat-e-rindana kuchh tu hi madad farma
ya un ka hijab uTThe ya meri jhijhak jae
aae bhi to ho jae jazb aankhon hi aankhon mein
wo ashk nahin hai jo palkon se Dhalak jae
kya shai hai talluq bhi kya chiz hai nisbat bhi
jab zikr tera aae kanTa sa khaTak jae
ab sabr-o-tahammul ka ai 'taj' KHuda-hafiz
paimana labaalab hai dekho na chhalak jae
Ghazal
Ek barq-e-tapan kude bijli si chamke jae
Riyasat Ali Taj