ek band ho gaya hai to kholenge bab aur
ubhrenge apni raat se sau aaftab aur
ruh-e-bashar ghulam hai koi bhi ho nizam
ab bhi jahan ko chahiye kuchh inqalab aur
jab bhi baDhi hai tishnagi mulk-o-awam ki
chhalki hai qasr-e-shah mein thoDi sharab aur
aKHlaq ki naqab mein le kar wali ka Dhong
nochenge meri lash ko kitne uqab aur
Darne laga tu ek hi hamle mein waqt ke
baqi hain teri zist mein kitne azab aur
Ghazal
Ek band ho gaya hai to kholenge bab aur
Ajay Sahaab