ek baat par bigDe gae na jo umr-bhar mile
us se tariq sulh ke kya sulh-gar mile
baham suluk tha pa tere daur-husn mein
ye rasm uTh gai ki bashar se bashar mile
dil mahw-e-chashm-e-yar tha bimar ho gaya
kuchh un parstishon ka bhi aaKHir samar mile
ai nala tu ne sath diya aah ka to kya
ummid kya asar ki jo du be-asar mile
sadma jigar pe pahunche to ho dil mein kyun na dard
kya farq kuchh juda nahin hain dil jigar mile
hum ko hamare tal-e-bad ne Dubo diya
achchhe the gar nasib to kyun chashm-e-tar mile
dhoun sad-ab-e-tegh se ai pamba jo kabhu
daman se tere daman dagh-e-jigar mile
ummid-e-bu mein us ki mile yun saba se hum
jis tarah be-KHabar se koi be-KHabar mile
jo kuchh na dekhna tha so wo dekhna paDa
us bewafa se pahle the kya dekh kar mile
dekhe hunar jo apne hi wo jaane us ka kaam
hum ko to aib dekh ke apne hunar mile
mehr-e-jahan-faroz dikha dun jabin ko main
gar sang-e-astana-e-KHairul-bashar mile
milne se us ki ghaTti hai kya teri shan-e-husn
'azurda' KHasta-jaan bhi mile tu agar mile
Ghazal
Ek baat par bigDe gae na jo umr-bhar mile
Mufti Sadruddin Aazurda