ek bar mil ke phir na kabhi umr bhar mile
do ajnabi the hum jo sar-e-rah-guzar mile
kuchh manzilon ke KHwab the kuchh raston ke dhul
nikle safar pe hum to yahi ham-safar mile
yun apni sarsari si mulaqat KHud se thi
jaise kisi se koi sar-e-rah-guzar mile
ek shaKHs kho gaya hai jo raste ki bhiD mein
is ka pata chale to kuchh apni KHabar mile
apne safar mein yun to akela hun main magar
saya sa ek rah ke har moD par mile
barson mein ghar hum aae to begana-war aaj
hum se KHud apne ghar ke hi diwar-o-dar mile
'maKHmur' hum bhi raqs karen mauj-e-gul ke sath
khul kar jo hum se mausam-e-diwana-gar mile
Ghazal
Ek bar mil ke phir na kabhi umr bhar mile
Makhmoor Saeedi