ek bar hi ji bhar ke saza kyun nahin dete
gar harf-e-ghalat hun to miTa kyun nahin dete
aise hi agar munis-o-gham-KHwar ho mere
yaro mujhe marne ki dua kyun nahin dete
ab shiddat-e-gham se mera dam ghuTne laga hai
tum reshmi zulfon ki hawa kyun nahin dete
farda ke dhundlakon mein mujhe DhunDne walo
mazi ke darichon se sada kyun nahin dete
moti hun to phir sozan-e-mizhgan se piro lo
aansu ho to daman pe gira kyun nahin dete
saya hun to phir sath na rakhne ka sabab kya
patthar hun to raste se haTa kyun nahin dete
Ghazal
Ek bar hi ji bhar ke saza kyun nahin dete
Murtaza Birlas