ek bar apna zarf-e-nazar dekh lijiye
phir chahe jis ke aib-o-hunar dekh lijiye
kya jaane kis maqam pe kis shai ki ho talab
chalne se pahle zad-e-safar dekh lijiye
ho jaega KHud aap ko ehsas be-ruKHi
gar aap mera zaKHm-e-jigar dekh lijiye
sab ki taraf hai aap ki chashm-e-nawazishat
kash ek bar aap idhar dekh lijiye
tare main toD launga aakash se magar
shafqat se aap bazu-o-par dekh lijiye
jamhuriyat ka dars agar chahte hain aap
koi bhi saya-dar shajar dekh lijiye
ho jaegi haqiqat-e-shams-o-qamar ayan
un ko nigah bhar ke agar dekh lijiye
ye barq-e-hadisat bhi kya zulm Dhaegi
uThne lage gulon se sharar dekh lijiye
'ajiz' chali hain aisi tassub ki aandhiyan
ujDe hue nagar ke nagar dekh lijiye
Ghazal
Ek bar apna zarf-e-nazar dekh lijiye
Ajiz Matvi