ek azab hota hai roz ji ka khona bhi
ro ke muskurana bhi muskura ke rona bhi
raunaqen thi shahron mein barkaten mohallon mein
ab kahan mayassar hai ghar mein ghar ka hona bhi
dil ke khel mein har dam ehtiyat lazim hai
TuT-phuT jata hai warna ye khilauna bhi
didani hai sahil par ye ghurub ka manzar
bah raha hai pani mein aasman ka sona bhi
raat hi ke daman mein chand bhi hain tare bhi
raat hi ki qismat hai be-charagh hona bhi
waqt aa paDa aisa waqt hi nahin milta
chhuT gaya hai barson se apna rona-dhona bhi
Ghazal
Ek azab hota hai roz ji ka khona bhi
Shahid Latif