ek aur siyah raat hai is raat se aage
ab baat nikal jaane ko hai baat se aage
koshish to bahut karta hun khulta hi nahin wo
baiTha hai kahin shak sa mulaqat se aage
dene ko bahut kuchh hai magar waqt-e-saKHawat
hota hi nahin koi meri zat se aage
thi kaisi talab jis ko pakaDne ke junun mein
dil chalta raha chaar qadam hat se aage
han rahat-e-dil jaan-e-nazar honge manazir
dekha hi nahin kuchh basar-auqat se aage
thoDa sa kahin jama bhi rakh dard ka pani
mausam hai koi KHushk sa barsat se aage
yun tark-e-talluq na karo is se bhi 'shahin'
kuchh achchhe marasim nahin haalat se aage
Ghazal
Ek aur siyah raat hai is raat se aage
Javed Shaheen