اردو हिंदी
Ek ashk baha hoga | Shaahi Shayari
ek ashk baha hoga

Ghazal

Ek ashk baha hoga

Ahmad Ata

;

ek ashk baha hoga
ek sher hua hoga

chup-chap paDe hain hum
dil rakh hua hoga

ek KHwab sahaara tha
wo TuT gaya hoga

dil ne to un aankhon par
ilzam dhara hoga

hai ishq to hai ham-kesh
dil mein koi tha hoga

kya nur tha pani mein
aankhon se baha hoga

phir yar nahin aae
phir jam dhara hoga

ek shoala fuzun ho kar
jalta bhi raha hoga

shab KHwab mein aaya wo
kya kya na hua hoga

tasir kahan sach mein
kuchh jhuT kaha hoga

is dil ke KHarabe mein
ek shahr basa hoga

muTThi mein hai dil kaise
raste mein mila hoga

kahne ki nahin baaten
baaton se bhi kya hoga

ek KHwab-e-tamanna ne
barbaad kiya hoga

wo soKHta-sar tha kaun
hoga to 'ata' hoga