ek anokhi rasm ko zinda rakha hai
KHun hi ne KHun ko paspa rakha hai
ab junun-e-KHud-numai mein to hum ne
wahshaton ka ek daricha wa rakha hai
shahr kaise ab haqiqat-ashna ho
aagahi par zat ka pahra rakha hai
tirgi ki kya ajab tarkib hai ye
ab hawa ke dosh par diwa rakha hai
tum charaghon ko bujhane par tule ho
hum ne suraj ko bhi ab apna rakha hai
tum hamare KHun ki qimat na puchho
is mein apne zarf ka arsa rakha hai
shahr ki is bhiD mein chal to raha hun
zehn mein par ganw ka naqsha rakha hai
ye 'azim' apna kamal-e-zarf hai jo
dushmanon ke aib par parda rakha hai
Ghazal
Ek anokhi rasm ko zinda rakha hai
Tahir Azeem