اردو हिंदी
Ek andhi dauD thi ukta gaya tha | Shaahi Shayari
ek andhi dauD thi ukta gaya tha

Ghazal

Ek andhi dauD thi ukta gaya tha

Manish Shukla

;

ek andhi dauD thi ukta gaya tha
main KHud hi saf se bahar aa gaya tha

na dil bazar mein us ka laga phir
jise ghar ka pata yaad aa gaya tha

faqat ab ret ki chadar bichhi hai
suna hai us taraf dariya gaya tha

usi ne rah dikhlai jahan ko
jo apni rah par tanha gaya tha

mujhe jalna paDa majbur ho kar
andhera is qadar gahra gaya tha

koi taswir ashkon se bana kar
fasil-e-shahr par chipka gaya tha

samajh aaKHir mein aaya wahima tha
jo kuchh ab tak suna samjha gaya tha