ek aks dil ke taT se be-iKHtiyar phuTe
jab chand us nagar ki jhilon ke par phuTe
sadqa utarne ko tere madhur nayan ka
ubhre kai sitare ghunche hazar phuTe
wo aur main nadi ke naghmon pe bahti naw
naw mein us ke mukh se ujla nikhaar phuTe
kanon mein ab bhi khanken gajre tere gajar-dam
is ghar se jab dhuen ka nila ghubar phuTe
mujh ko jhula rahe hain giton ke jhulne mein
naghme jo payalon ke sapnon ke dwar phuTe
us sanwle badan par mahken KHunuk sawere
un mast ankhDiyon se rangon ki phuwar phuTe
mat ro phir aaunga main parbat pe tujh se milne
jab barf-zar pighle jab aabshaar phuTe
Ghazal
Ek aks dil ke taT se be-iKHtiyar phuTe
Nasir Shahzad