ek ajnabi KHayal mein KHud se juda raha
nind aa gai thi raat magar jagta raha
sangin hadson mein bhi hansti rahi hayat
patthar pe ek gulab hamesha khila raha
duniya ko us nigah ne diwana kar diya
main wo sitam-zarif ki bas dekhta raha
ek ajnabi mahak si lahu mein rachi rahi
naghma sa jaan-o-tan mein koi gunjta raha
ab ja ke ye khula ki har ek shaKHs dosto
har shaKHs ko libas se pahchanta raha
fikr-e-suKHan mein raat jo aaya KHayal-e-'mir'
ta-der Diary pe qalam kanpta raha
'saghar' tamam umr ki gardish ke bawajud
main us nigah-e-naz se na-ashna raha

Ghazal
Ek ajnabi KHayal mein KHud se juda raha
Saghar Mehdi