ek ajab aalam hai dil ka zindagi ki rah mein
dekhta hun kuchh kami si husn-e-mahr-o-mah mein
us ke hote bhi main ek ehsas-e-tanhai mein hun
jalwa-gar hai wo jo muddat se dil-e-agah mein
dur ho kar mujh se chalti hai hawa-e-jaan-faza
ji raha hun phir bhi aise mausam-e-jaankah mein
har qadam par kyun Daraati hai mujhe ye zindagi
ye jo meri raushni thi zulmaton ki rah mein
kaise uTThun tere dar se ai jahan-e-arzu
ek aalam ko sameTe daman-e-kotah mein
ai parastaran-e-duniya dil ki duniya hai kuchh aur
kaun Thokar khae bin rahta hai us ki rah mein
ab na pahchane koi 'aKHtar' to is ka kya ilaj
umr sari kaT di hai tu ne rasm-o-rah mein
Ghazal
Ek ajab aalam hai dil ka zindagi ki rah mein
Akhtar Saeedi