ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai
ki rasta yahan dariya banane wala hai
wo tirgi hai ki chhaTti nahin kisi surat
charagh ab ke lahu se jalane wala hai
tumhaare hath se tarsha hua wajud hun main
tumhi batao ye rishta bhulane wala hai
abhi KHayal tere lams tak nahin pahuncha
abhi kuchh aur ye manzar banane wala hai
bujhe bujhe se KHad-o-KHal par na ja 'shahbaz'
yahi ufuq hai jo suraj ugane wala hai
Ghazal
Ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai
Shahbaz Khwaja