ek aisa marhala-e-rah-guzar bhi aata hai
koi fasil-e-ana se utar bhi aata hai
teri talash mein jaane kahan bhaTak jaun
safar mein dasht bhi aata hai ghar bhi aata hai
talash sae ki lai jo dasht se to khula
azab-e-surat-e-diwar-o-dar bhi aata hai
sakun to jab ho ki main chhanw sehn mein dekhun
nazar to waise gali ka shajar bhi aata hai
badan ki KHak sameTe hue ho kya logo
safar mein lamha-e-tark-e-safar bhi aata hai
dilon ko zaKHm na do harf-e-na-mulaem se
ye tir wo hai ki jo lauT kar bhi aata hai
main shahr mein kise ilzam-e-na-shanasi dun
ye harf KHud mere kirdar par bhi aata hai
nazar ye kis se mili na-gahan ki yaad aaya
isi gali mein kahin mera ghar bhi aata hai
hawa ke ruKH pe nazar tairan-e-KHush-parwaz
qafas ka saya pas-e-baal-o-par bhi aata hai
main harf harf mein utra hun raushni ki tarah
so kaenat ka chehra nazar bhi aata hai
lahu se harf tarashen jo meri tarah ummid
unhin ke hisse mein zaKHm-e-hunar bhi aata hai
Ghazal
Ek aisa marhala-e-rah-guzar bhi aata hai
Ummeed Fazli