ek adhuri si kahani main sunata kaise 
yaad aata bhi nahin KHwab wo bikhra kaise 
kitne sayon se bhari hai ye haweli dil ki 
aisi bhagdaD mein koi shaKHs Thaharta kaise 
phul zaKHmon ke yahan aur bhi chun lun lekin 
apna daman main karun aur kushada kaise 
dukh ke sailab mein Duba tha wo KHud hi itna 
meri aankho tumhein deta wo dilasa kaise 
kanch ke zar se bas dekhta rahta tha tumhein 
band shishon se main aawaz lagata kaise 
is ka phan main ne bahut der talak kuchla tha 
rah gaya sanp tere dard ka zinda kaise 
ab to aankhon mein siyahi si bhari rahti hai 
aise aalam mein koi KHwab ho ujla kaise 
dagh hi dagh ubhar aae mere chehre par 
rang mera ai musawwir hua bhadda kaise 
KHushk miTTi mein paDa tha mere dil ka paudha 
is ki shaKHon pe koi phul bhi aata kaise
 
        Ghazal
Ek adhuri si kahani main sunata kaise
Alok Mishra

