ek aawara sa lamha kya qafas mein aa gaya hai
laga jaise zamana dastaras mein aa gaya hai
ye kis konpal khuli saat sada di hai kisi ne
ruton ka ras har ek tar nafas mein aa gaya hai
hum us kuche se nisbat ki KHushi kaise sambhaalen
hamara nam us ke KHar-o-KHas mein aa gaya hai
lahu mein lau kahan maujud zinda rabte ki
nibhane ko faqat be-ruh rasmen aa gaya hai
ana ke faisle kya marzi-e-pindar kaisi
mera hona na hona us ke bas mein aa gaya hai
utar aae un aankhon mein kuchh aise aks 'ali'
ki dil phir se giraft-e-pesh-o-pas mein aa gaya hai
Ghazal
Ek aawara sa lamha kya qafas mein aa gaya hai
Jaleel u0027Aaliu0027