اردو हिंदी
Ek aas to hai koi sahaara nahin to kya | Shaahi Shayari
ek aas to hai koi sahaara nahin to kya

Ghazal

Ek aas to hai koi sahaara nahin to kya

Mohsin Zaidi

;

ek aas to hai koi sahaara nahin to kya
raste mein kuchh shajar to hain saya nahin to kya

rahta hai koi shaKHs mere dil ke aas pas
main ne use qarib se dekha nahin to kya

tu hi bata ki chahen tujhe aur kis tarah
ye teri justuju ye tamanna nahin to kya

hum dur dur rah ke bhi chalte rahe hain sath
hum ne qadam qadam se milaya nahin to kya

reg-e-rawan ki tarah hain sare talluqat
tum ne kisi ka sath nibhaya nahin to kya

waise hamein to pyas mein dariya ki thi talash
ab ye sarab hi sahi dariya nahin to kya

socha bhi tum ne dasht chaman kaise ban gaya
mehnat ka ye araq ye pasina nahin to kya

'mohsin' meri nigah ko achchha laga wahi
duniya ki wo nazar mein jo achchha nahin to kya