اردو हिंदी
Ek aas ka diya to dil mein jalate jao | Shaahi Shayari
ek aas ka diya to dil mein jalate jao

Ghazal

Ek aas ka diya to dil mein jalate jao

Shakeel Gwaliari

;

ek aas ka diya to dil mein jalate jao
kis moD par miloge ye to batate jao

us dar se ja milenge ye jitne raste hain
kanTe haTate jao kaliyan bichhate jao

patthar mein bhi chhupa hai naghmat ka KHazana
ye shart hai ki us tak tum gungunate jao

jab mai-kade se lauTo phir kya kisi se chhupna
jab mai-kade ko jao chhupte chhupate jao

ai munkirin-e-ulfat main us ki yaad mein hun
ek ek aate jao iman late jao

jaldi bhi kya hai aaKHir itni 'shakil'-sahab
ab aae ho to sab se milte-milate jao