ek aalam-e-hijran hi ab hum ko pasand aaya
ye KHana-e-viran hi ab hum ko pasand aaya
benam-o-nishan rahna ghurbat ke ilaqe mein
ye shahr bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya
tha lal hua manzar suraj ke nikalne se
wo waqt tha wo chehra jab hum ko pasand aaya
hai qat-e-talluq se dil KHush bhi bahut apna
ek had hi bana lena kab hum ko pasand aaya
aana wo 'munir' us ka be-KHauf-o-KHatar hum tak
ye turfa tamasha bhi shab hum ko pasand aaya
Ghazal
Ek aalam-e-hijran hi ab hum ko pasand aaya
Muneer Niyazi