ek aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
hairat bhi ye hairat hai ki kya jaaniye kya hai
sau bar jala hai to ye sau bar bana hai
hum soKHta-jaanon ka nasheman bhi bala hai
honTon pe tabassum hai ki ek barq-e-bala hai
aankhon ka ishaara hai ki sailab-e-fana hai
sunta hun baDe ghaur se afsana-e-hasti
kuchh KHwab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-ada hai
hai tere tasawwur se yahan nur ki barish
ye jaan-e-hazin hai ki shabistan-e-hira hai
Ghazal
Ek aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
Asghar Gondvi