ek aah-e-zer-e-lab ke gunahgar ho gae
ab hum bhi daKHil-e-saf-e-aghyar ho gae
jis dard ko samajhte the hum un ka faiz-e-KHas
us dard ke bhi lakh KHaridar ho gae
jin hauslon se mera junun mutmain na tha
wo hausle zamane ke meyar ho gae
saqi ke ek ishaare ne kya sehr kar diya
hum bhi shikar-e-andak-o-bisyar ho gae
ab un labon mein shahad o shakar ghul gae to kya
jab hum halak-e-talKHi-e-guftar ho gae
har wada jaise harf-e-ghalat tha sarab tha
hum to nisar-e-jurat-e-inkar ho gae
teri nazar payam-e-yaqin de gai magar
kuchh taza waswase bhi to bedar ho gae
is mai-kade mein uchhli hai dastar bar-ha
waiz yahan kahan se numudar ho gae
sarsabz pattiyon ka lahu chus chus kar
kitne hi phul raunaq-e-gulzar ho gae
'zaidi' ne taza sher sunae ba-rang-e-KHas
hum bhi fida-e-shoKHi-e-inkar ho gae
Ghazal
Ek aah-e-zer-e-lab ke gunahgar ho gae
Ali Jawwad Zaidi