اردو हिंदी
Ek aah-e-zer-e-lab ke gunahgar ho gae | Shaahi Shayari
ek aah-e-zer-e-lab ke gunahgar ho gae

Ghazal

Ek aah-e-zer-e-lab ke gunahgar ho gae

Ali Jawwad Zaidi

;

ek aah-e-zer-e-lab ke gunahgar ho gae
ab hum bhi daKHil-e-saf-e-aghyar ho gae

jis dard ko samajhte the hum un ka faiz-e-KHas
us dard ke bhi lakh KHaridar ho gae

jin hauslon se mera junun mutmain na tha
wo hausle zamane ke mear ho gae

har wada jaise harf-e-ghalat tha sarab tha
hum to nisar-e-jurat-e-inkar ho gae

sarsabz pattiyon ka lahu chus chus kar
kitne hi phul raunaq-e-gulzar ho gae

'zaidi' ne taza sher sunae ba-rang-e-KHas
hum bhi KHuda-e-shoKHi-e-afkar ho gae