ek aag dekhta tha aur jal raha tha main
wo sham aai magar hath mal raha tha main
ye umr kaise guzari bas itna yaad hai ab
udas raat ke sahra pe chal raha tha main
bas ek zid thi so KHud ko tabah karta raha
nasib us ke ki phir bhi sambhal raha tha main
bhari thi us ne rag-o-pai mein barf ki ThanDak
so ek barf ki surat pighal raha tha main
KHuda-sifat tha wo lamha ki jis mein gum ho kar
zamin se aasman ke dukh badal raha tha main
main ek ahd tha ek ahd ki alamat tha
hazar chehron mein din raat Dhal raha tha main
bas ek abr ke sae ne aa liya mujh ko
azab oDh ke ghar se nikal raha tha main
Ghazal
Ek aag dekhta tha aur jal raha tha main
Sabir Waseem