ek aafat-e-jaan hai jo mudawa mere dil ka
achchha koi phir kyun ho masiha mere dil ka
kyun bhiD lagai hai mujhe dekh ke betab
kya koi tamasha hai taDapna mere dil ka
bazar-e-mohabbat mein kami karti hai taqdir
ban ban ke bigaD jata hai sauda mere dil ka
gar wo na hue faisala-e-hashr pe raazi
kya hoga phir anjam KHudaya mere dil ka
kya kohkan o qais ko dete dam-e-taqsim
hissa tha gham-e-hausla-farsa mere dil ka
go main na rahun mahfil-e-jaanan mein magar roz
'taslim' yun hi zikr rahega mere dil ka
Ghazal
Ek aafat-e-jaan hai jo mudawa mere dil ka
Amirullah Tasleem