ijazat de ki apni dastan-e-gham bayan kar len
tere ehsas aur apni zaban ka imtihan kar len
hayat-e-jawedan bhi ishq mein barbaad kar lenge
mata-e-hasti-e-fani to pahle raegan kar len
ye sazish kar rahe hain chand tinke aashiyane ke
ki bijli ko kisi surat asir-e-ashiyan kar len
shab-e-gham ai tasawwur un ko majbur-e-tabassum kar
murattab is ujale mein hum apni dastan kar len
Thikana ho kahan 'simab' phir naz-afrini ka
agar hum apne dil ko be-niyaz-e-do-jahan kar len
Ghazal
Ijazat de ki apni dastan-e-gham bayan kar len
Seemab Akbarabadi