isa ki qum se hukm nahin kam faqir ka
arini pukarta hai sada dam faqir ka
KHubi bhari hai jis mein do-alam ki coat coat
allah ne kiya hai wo aalam faqir ka
sab jhuT hai ki tum ko hamara ho gham miyan
baba kise KHuda ke siwa gham faqir ka
hum kyun na apne-ap ko ro lewen jite-ji
ai dost kaun phir kare matam faqir ka
mar jawen hum to par na KHabar ho ye tum ko aah
kya jaane kab jahan se gaya dam faqir ka
ab hum pe kya guzarti hai aur kya guzar gai
kis se kahen wo yar hai mahram faqir ka
jab jite-ji kisi ne na puchha to mehrban
phir baad-e-marg kis ko raha gham faqir ka
ho kyun na us ko faqr ki baaton mein dast-gah
hai baalaka 'nazir' puraatam faqir ka
Ghazal
Isa ki qum se hukm nahin kam faqir ka
Nazeer Akbarabadi