iman-nawaz gardish-e-paimana ho gai
hum se bhi ek laghzish-e-mastana ho gai
koi to baat shama ke jalne mein thi zarur
jis par nisar hasti-e-parwana ho gai
sad-shukr aaj ho to gai un se guftugu
ye aur baat hai ki harifana ho gai
allah re ashk-bari-e-sham-e-shab-e-firaq
jo subh hote hote ek afsana ho gai
'hairat' ke gham-kade mein KHushi ka guzar kahan
aap aa gae to raunaq-e-kashana ho gai
Ghazal
Iman-nawaz gardish-e-paimana ho gai
Abdul Majeed Hairat