iman ki laghzish ka imkan are tauba
bad-chalni mein zahid ka chaalan are tauba
uTh kar teri chaukhaT se hum aur chale jaen
england are tauba japan are tauba
hai god ke palon se ab KHauf-e-dagha-bazi
ye apne hi bhanjon par bohtan are tauba
insanon ko din din bhar ab khana nahin milta
muddat se farokash hain ramzan are tauba
lillah KHabar lije ab qalb-e-shikasta ki
girta hai mohabbat ka dalan are tauba
daman-e-taqaddus par daghon ki farawani
ek maulwi ke ghar mein shaitan are tauba
ab KHairiyaten sar kari malum nahin hotin
ganjon ko hai naKHun ka arman are tauba
mashriq pe bhi nazren hain maghrib pe bhi nazren hain
zalim ke taKHayyul ki lamban are tauba
ai 'shauq' na kuchh kahiye haalat dil-e-muztar ki
hota hai masiha ko KHafqan are tauba
Ghazal
Iman ki laghzish ka imkan are tauba
Shauq Bahraichi