اردو हिंदी
Ijad gham hua dil-e-muztar ke waste | Shaahi Shayari
ijad gham hua dil-e-muztar ke waste

Ghazal

Ijad gham hua dil-e-muztar ke waste

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

;

ijad gham hua dil-e-muztar ke waste
paida junun hua hai mere sar ke waste

karte ho fikr ghafilo kya ghar ke waste
duniya mein sab muqim hain dam bhar ke waste

har shai mein jo ki dekhte hain jalwa dost ka
wo log sajda karte hain patthar ke waste

us but ne ek baat na mani shab-e-visal
lakhon diye KHuda o payambar ke waste

sun kar payam-e-wasl main qasid se ji uTha
hai moajaza zarur payambar ke waste

mizhgan ko teri hum ne jagah apne dil mein di
zeba ye myan hai isi KHanjar ke waste

likhta hun us pari ki sifat chashm-e-shoKH ki
tar-e-nigah-e-hur ho mistar ke waste

baalish ki ja hai mujh ko tera sang-e-astan
kafi hai KHak-e-dar mare bistar ke waste

jata hun chin kakul-e-ambar-fishan ko main
sauda KHaridta hai mujhe sar ke waste

jitne the zulm sab wo jafa-kar kar chuka
baqi rahe na charKH-e-sitamgar ke waste

karta hun roz-e-hijr main tadbiren dosto
kya kya tasalli-e-dil-e-muztar ke waste

saqi sharab-e-ashk hai yan jam-e-chashm mein
ehsan uThaen kyun mai o saghar ke waste

ai 'sehr' qadr-dan jo na ho koi sher ka
to zindagi hai maut suKHnawar ke waste