اردو हिंदी
Ifa-e-wada aap se ai yar ho chuka | Shaahi Shayari
ifa-e-wada aap se ai yar ho chuka

Ghazal

Ifa-e-wada aap se ai yar ho chuka

Imdad Ali Bahr

;

ifa-e-wada aap se ai yar ho chuka
us ka to imtihan kai bar ho chuka

ahbab hath uThaen hamare ilaj se
sehat-pazir ishq ka bimar ho chuka

wo be-hisab baKHsh de ye baat aur hai
apne hisab mein to gunahgar ho chuka

main hath joDta hun baDi der se huzur
lag jaiye gale se ab inkar ho chuka

bechun kahan main apne dil-e-dagh-dar ko
sauda bura pasand KHaridar ho chuka

piri mein parwarish hai abas jism-e-zar ki
phenkun kisi ghaDi main ye bekar ho chuka

barham wo shoKH kyun na ho kyun zulf ko chhua
ye hath hathkaDi ke saza-war ho chuka

ab mujh se iltiyam ki baaten na kijiye
dil tum se phaT gaya jigar afgar ho chuka

mujh dil-figar ko na rahi tum se kuchh umid
ye KHatt-e-sabz marham-e-zangar ho chuka

darban ko salam karen ghar ki rah len
wo munh chhupa ke baiThe hain didar ho chuka

bande ke haal par nazar-parwarish rahe
husn-e-malih ka main namak-KHwar ho chuka

lun bosa KHun-baha main us abru-kaman se
ab to jigar se tir-e-nigah par ho chuka

ai 'bahr' ab to baat bhi karta nahin wo shoKH
wo rasm-o-rah ho chuki wo pyar ho chuka