id ho jae abhi talib-e-didaron ko
khol do zulf se gar chand se ruKHsaron ko
le ke dil chain se ja baiThe wo ghar mein chhup ke
ab to aankhen bhi tarasne lagin nazzaron ko
phal ye qatil ko diya meri giran-jaani ne
toD kar Dher kiya saikDon talwaron ko
ain altaf hai mazhab mein hasinon ke sitam
bad-shuguni hai unhen puchhna bimaron ko
daur-e-saqi mein bhi ulTi bahi ganga har rose
jab diya jam-e-mai-e-nab to aghyaron ko
kabhu sauda kabhu wahshat kabhu ghaflat kabhu dard
aag lag jae mohabbat ke in aazaron ko
wo pari-ru hai piyo shauq se tum ai 'tanwir'
mai se parhez nahin chahiye mai-KHwaro ko
Ghazal
Id ho jae abhi talib-e-didaron ko
Tanvir Dehlvi