idrak hi muhaal hai KHwab-o-KHayal ka
dil ke waraq pe aks hai us ke jamal ka
roti nahin hun main kabhi duniya ke samne
rakhti hun hausla main nihayat kamal ka
hain marhale ajib ye ishq-o-KHirad ke bhi
lamhon mein kar rahi hun safar mah-o-sal ka
darwesh hai koi to qalandar wali koi
bandon ne paya ishq mein rutba kamal ka
itne sukun se main ne kiya ishq ka safar
aaya nahin guman kisi ehtimal ka
kaisa ajib daur hai maujuda daur bhi
mafhum koi samjhe na dil ke sawal ka
dam ghuT raha ho jab mera apne wajud mein
kya KHak tazkira ho firaq-o-visal ka
karti nahin 'sabila' gila main ye soch kar
sathi nahin yahan koi ranj-o-malal ka
Ghazal
Idrak hi muhaal hai KHwab-o-KHayal ka
Sabeela Inam Siddiqui