idhar udhar ke hawalon se mat Darao mujhe
saDak pe aao samundar mein aazmao mujhe
mera wajud agar raste mein hail hai
tum apni rah nikalo phalang jao mujhe
siwae mere nahin koi jarehana qadam
main ek haqir piyaada sahi baDhao mujhe
isi mein meri tumhaari najat muzmar hai
ki main banaun tumhein aur tum miTao mujhe
guzarne wala har ek lamha mera qatil hai
KHuda ke waste maro ise bachao mujhe
jami hui hain meri lash par nigahen kyun
main koi aaKHiri KHwahish nahin dabao mujhe
KHushi manate ho kahte ho mujh ko id 'nishat'
magar main KHun ki holi bhi hun jalao mujhe
Ghazal
Idhar udhar ke hawalon se mat Darao mujhe
Irtiza Nishat