idhar to hum jaan kho rahe hain udhar wo ulfat se ro rahe hain
kuduraten umr bhar ki dil se wo aaj ashkon mein dho rahe hain
na baz rakh hum ko rone se tu giren jo ashkon ke dane bahattar
ye kisht-e-hasrat mein apni hamdam umid ka tuKHm bo rahe hain
idhar taraqqi KHayal ko hai udhar taraqqi jamal ko hai
wahan to madd-e-nazar hai surma yahan tasawwur mein ro rahe hain
jahan hua tifl koi paida kaha ye man ne abul-bashar ki
meri bhi aaghosh hai kushada abas ye saman ho rahe hain
kiya hai be-jurm qatl mujh ko hujum-e-aghyar-o-ashna mein
aur is pe dekho DhiTai ashkon se daman apna bhigo rahe hain
na puchho kuchh masiyat ka aalam farishto hum kya ki tum ne bachte
haqiqat is ki unhin se puchho sara-e-duniya mein jo rahe hain
KHabar visal-e-adu ki sun kar visal ke mani sochte hain
unhin ko wan kuchh nahin hai shadi ki KHush yahan hum bhi ho rahe hain
gila abas un se kije 'aqil' kiya hai qismat ne un ko ghafil
jo dar pe ja kar pukara main ne to bole kah do ki so rahe hain
Ghazal
Idhar to hum jaan kho rahe hain udhar wo ulfat se ro rahe hain
Meer Mohammad Sultan Aaqil