idhar se dekhen to apna makan lagta hai
ek aur zawiye se aasaman lagta hai
jo tum ho pas to kahta hai mujh ko chir ke phenk
wo dil jo waqt-e-dua be-zaban lagta hai
shuru-e-ishq mein sab zulf o KHat se Darte hain
aKHir umr mein in hi mein dhyan lagta hai
sarakne lagti hai tab hi qadam tale se zamin
jab apne hath mein sara jahan lagta hai
do chaar ghaTiyan ek dasht kuchh nadi nale
bas is ke baad hamara makan lagta hai
Ghazal
Idhar se dekhen to apna makan lagta hai
Shamsur Rahman Faruqi