idhar mahsus hoti hai kami us ki
udhar main bhul jata hun gali us ki
main dariya ho bhi jaunga to kya hoga
mujhe malum hai jab tishnagi us ki
wo jis ki raat-din tasbih karte hain
kabhi dekhi nahin taswir bhi us ki
jahan jae hamein bhi sath le jae
kahin be-ghar na kar de be-ghari us ki
wo aksar KHali ghar mein aata jata hai
ki jaise chiz koi rah gai us ki
guzarte waqt ki jab baat karta hai
hamesha band hoti hai ghaDi us ki
Ghazal
Idhar mahsus hoti hai kami uski
Azhar Abbas