idhar mail kahan wo mah-jabin hai
falak ko mujh se kyun parKHash-o-kin hai
na dekha apne bismil ka tamasha
qarib aa kar wo kitna dur-bin hai
ye achchha hai to achchha ghair ko bhi
satao aur puchho kyun ghamin hai
hamein surat dikhae kya tamanna
ki aashiq jis ke hain parda-nashin hai
ye mujh se shikwa hai allah re shoKHi
ki mere gham se tu andoh-gin hai
ye kaisa tafraqa hijran ne Dala
kahen kya hum kahin hain dil kahin hai
na puchho 'shefta' ka haal sahab
ye haalat hai ki apne mein nahin hai

Ghazal
Idhar mail kahan wo mah-jabin hai
Shefta Mustafa Khan