idhar hai baad-e-sumum nalan udhar hai barq-e-tapan bhi aajiz
meri bahaaron se ho gai ab haram-zadi KHizan bhi aajiz
ye hosh-o-aql-o-KHirad ki KHami pe hirs-e-rahbar ki tishna-kaami
ki jis ko sairab karte karte hua hai aksar kuan bhi aajiz
kiya hai yun azm-e-mustaqil ne KHilaf un ke mahaz qaem
ki aaj kal hai sitamgaron ki chunin bhi aajiz chunan bhi aajiz
tamam rindon ne mai-kade mein ab aisi shorish macha rakhi hai
ki shishe ulTe surahi aundhi hai mera pir-e-mughan bhi aajiz
jafaen din raat dhate dhate sitam ke bani bhi thak na jaen
shikar chuhon ka karte karte na hon kahin billiyan bhi aajiz
harim-e-naz-o-ada mein un ki ye kaun dahqani bolta hai
hai na-tarashida guftugu se zaban bhi lutf-e-zaban bhi aajiz
Ghazal
Idhar hai baad-e-sumum nalan udhar hai barq-e-tapan bhi aajiz
Shauq Bahraichi